Maine to ooper vale post me samjhaya na, ki 80's me ek prime minister tha jis ka naam tha Morarji Desai. Woh is liye mashoor hai ki woh London jaa ke pressvalon se ek interview me kaha tha ki apni tandurusti ke liye woh apna garm peshaab pita hai. To us zamane me yeh vyangya kavita likhi gayi thi us ke baare me. Urdu ki baat is liye aati hai ki unhone kaha tha ki Urdu sikhne aur sikhaane ki koi zaroorat nahin aage chal kar sirf hindi padhaaii jaegi. Is liye pehle hisse me pesh aab piine ke favaaid (benifits) pesh ki gayi hain aur dusre hisse me is baat ke afsos ka izhaar hota hai ki Urdu ke liye kuch nahin ho raha hai jabki peshaab ki khidmat me qaside aur bhashan kahe jaa rahe hain.
Ab kuchh samajh me aane laga ya kya aap ka sawaal kuchh aur tha? Mere khayal me yeh bahut hi maze ka nazm hai.
कहानी सुनाने के बाद, मैं अभी समझना शुरू कर रही हूँ। शुक्रिया, यह बहुत मज़ाक़िया लगती है।
यह सच है कि कुछ लोग मानते है कि पेशाब पीना बड़ी स्वास्थ्यावर्धक (healthy) है।
http://en.wikipedia.org/wiki/Urine_therapyपर मुझे यह छी छी बात है।
दूसरी तरफ़ से, यह आदमी ९९ साल तक ज़िन्दा रहा... तो शायद कोई फ़ायदा था?
http://en.wikipedia.org/wiki/Morarji_Desai